Sunday, 1 September 2013

Tamanna Muddaton Sai Hai - Naat By Ehsaan Tahmid.

Tamanna Muddatau Sai Hai Jamaal-e-Mustafa Daikhoun
Imaam-ul-Ambiya Daikhoun, Habeeb-e-Kibriya Daikhoun
Wo Jin Kai Dam Qadam Sai Subh Nai Bhi Roshni Paayi
Munawwar Kar Diya Jis Nai, Faza Wo Rehnuma Daikhoun
Wo Jin Ki Barkato Sai Abr-o Baara Bastai Aalam Mai
Tamanna Qalb-e-Mudhtar Ki Wo Durre Bai Baha Daikhoun
Qadam Baahir Madinah Sai Tasawwur Mai Madinah Hai
Ilaahi Ya Ilaahi Azmato Ki Intiha Daikhoun
Yai Dunya Bai Thubaat-o Bai Wafa-o Gham Ka Gehwaara
Yai Hai Matloob Daare Bai Wafa’i Mai Wafa Daikhoun
Tamanna Muddatau Sai Hai Jamaal-e-Mustafa Daikhoun
Wo Mabda Khalq-e-Aalam Ka Durood Un Par Salaam Un Par
Maire Maula Yai Mauqa Dai Ke Khatm-ul-Ambiya Daikhoun
Kabhi Ho Husn Ki Mehfil, Kabhi Ho Shauq Ka Manzar
Kabhi Aasu Ki Zanjeero Mai Aashiq Ki Sada Daikhoun
Rasool-un-qaasim-ul-khayra-ti-fid-dunya-wa-fil-’uqba
Shafeeqaz Nafs-e-Maadar Maa Nabi-e-Mujtaba Daikhoun
Dar-e-Jannat Pai Haazir Ho’u Rasool-e-Paak Kai Ham Raah
Shafaa’at Ka Yai Manzarya Khuda Ya Mai Raza Daikhoun
Tamanna Muddatau Sai Hai Jamaal-e-Mustafa Daikhoun
Imaam-ul-Ambiya Daikhoun, Habeeb-e-Kibriya Daikhoun
Lyrics are taken from islamiclyrics.net/labbayk/tamanna/


No comments:

Post a Comment